Sunday, February 21, 2016

MY POEM " JEEVAN HAI FOOTBALL " OR "THIS LIFE IS A GAME OF FOOTBALL"


                                                                                         



ISN’T THIS LIFE A GAME OF FOOTBALL ?
I WROTE THESE LINES IN 2013.


( Jeevan Hai Football)


Kaanch Katoray
Girray Farsh par
Tukadey Tukadey choor choor kuchh
Kuchh Bu’ch nikaley iss sadmay se..
Bhagya Ki Rekha ,
Kab khulti hai ,
Kis ne dekha ,
Kab Chalti hai ,
Kab Bachnaa Hai Kab Khonaa Hai ,
Kab Hansnaa Ronaa Dhonaa Hai ,
Jeevan Hai Maidaan Kheil ka
Kheil Hai Yeh FOOTBALL…
Bhaagam Bhaag Bhi ,
Dhool Udd Rahi ,
Ball ke peechey
Daudd Lagaao..
Paas pakad lo,
Paanv Badaao,
Kuchh to Poore Kheil mein Daudday
Muft Ki Dhool Udda Kar Lautay
Na Koyee Taali
Na Koyee seeti
Koyee Goal Post pe aaya
Mauqa Paaya
Ball ko apnaa paanv Lagaaya
Goal Banaaya ..
Phir Kyaa !!!!!!!
Taali, Maala Photo,,
Bheed ki Jai Jaikaar.
Jaissay Sookhi Jheel se Bandhu
Phoote Jal Ki Dhaar.
Iss ke bhi Din Chaar..
Aur Jab Dankaa Baaje oppar
Chhorr ke saare Kheil ke Chakkar
Laut Chaley sab phir Apne Ghar
Jeeti Baazi Haar....
( Autar Mota )


CHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Creative Commons LicenseBased on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.