Monday, May 9, 2016

FIRAQ GORAKHPURI 'S COUPLET ON EXISTENCE


                                                                                       




Aaye Thhay  Hanstey khailtey Maikhaane mein “ Firaq “
Jab Pee Chukey Sharaab to Sanjeeda ho gaye.........
( Firaq Gorakhpuri )




 Apart from “Shringar Rasa” Firaq’s poetry and his poetic collection " GUL E NAGMA" in particular can be called a musical cry of the soul . A cry that goes up and around to seek reply to..
“ Why Me ? ”
Firaq's poetry is a cry of a heart that has been long left lonely and deprived of love and attention.It is also a Cry of pain and Ecstasy that travels through every sensitive heart creating its own passage .  
I add lines from his verse ...


Na ziyaada zarf se dhe na kam,
Ke hain Haath Uss ke jachey Tuule..
Hai Woh Aankh Zaamin e Hosh Bhi ,
Wohi Aankh Saaqi e Anjuman...
Tu hai sar Ba sar Koyee dastaan ,
Hai Ajeeb Aalam e Anjuman..
Yeh Nigaah e Naaz Zubaan Zubaan ,
Yeh Sukoot e Naaz Sukhan Sukhan..
Meri Har Ghazal Ko Yeh Aarzoo,
Tujhe saj sajaa ke Nikaaliye ..
Meri Fiqr Ho Teraa Aainaa,
Meray Nagme Hon Tera Pairahan..
Me Khizaan Bhi Huun Me Bahaar Bhi,
Meri Zindagi hai Woh Zindagi..
Ke Misaal e barg e Gul e Chaman,
Jo Gaahe kafan Gaahe Pairhan..
Yeh Udaas Udaas Bujhi Bujhi,
Koyii Zindagi Hai Firaq Ki..
Magar aaj Kisht e Sukhanwari ,
Hai ussi Ke dum se chaman chaman....
( Firaq )


In a Doordarshan interview, Firaq Gorakhpuri once said ;

"Agar mujhe ek kuvein  mein phaink diya a, aur us kuvein mein hazaaron saanp aur hazaaron bichhu hon, aur har bichhu aur har saanp ka dank hazaron bichhuon aur hazaaron saanpon ke dank ke barabar ho, to bhi mein chahunga ki mujhe har saanp aur har bichhu ke dank ka ehsaas ho, bajaye isske ki mujhe zindagi mein kabhi koyi ehsaas hi na hua ho"..

( Autar Mota )



Creative Commons LicenseCHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.